blog

Friday 5 July 2013

This is the spirit of Mumbaiaites…



This is the spirit of Mumbaiaites…
To be sung to the tune of Ai Malik Tere Bandhe Hum…………….
Hey Mumbai tere bandhe hum,
Yeh kaise kyun hum-par situm,
Na railways chale, na BEST chale,
Paidal chalte huwe nikle dum.
Hey Mumbai——————
Waise office-se jaldi nikle hum,
Jamke station-thak badhaaye kadam,
Hum khade the magar, gaadi ki na khabar, Toota
ummeed-ka papaddum.
Aake baahar jab pheri nazar,
Dekha Bambai bana tha gutter,
Na auto chale aur na taxi rukhe,
Ab kaise karenge safar.
Hey Mumbai——————
Hua baarishse yun saamna,
Na kahin bijali, koi phone na,
MTNL kho gaya, Ambani bhi so gaya,
Andheremein hamein chod diya,
Cell-phone bhi kare gadbadam,
Yeh kaisa bada sankatam,
Bhejemein fikr aur kuch na clear,
Bheegke tan man hua bahut naram.
Hey Mumbai——————
Thoda rukhke maine saans li,
Yaad aane laga family,
Biwi tum ho kidhar, bachhee hain kya udhar,
Ya kahin phas jaayenge raat-bhar,
Ab kaise karenge aur sabr,
Kare koi na aisa suffer,
Mere dilmein fear, aankhonmein tear,
Tension chadne laga ekdum.
Hey Mumbai——————
Chal pada public-ka caravan,
Girnewalonko kiya saavdhaan,
Hum chalte rahe, saath bhadte rahe,
Door manzil, kadi imtihan.
Man-holes bhi khule the idhar-udhar,
Upar thunder, neeche bhi no cover,
Drainage-ke tale khaddepe gire,
BMC bhi bada be-sharam.
Hey Mumbai——————
Yeh meteorology jaaye bhaadmein,
Saara metro duba paanimein,
Koi Shanghai kahe, future Hong-Kong kahe,
Yaaron unko hum paagal kahe,
Yeh hota hai year after year,
Kab sudhrega apna shahar,
Na Government sune, na bhagwan sune,
Rothe thairthe aa pahuncha main ghar.
Hey Mumbai tere bandhe hum!
GOD SAVE MUMBAI

Ye kaisa rishta hai?



Ye kaisa rishta hai?
Bhulaye bhi nahi jaate, gale se lagaye bhi nahi jaate
ajnabi nahi hain, phir bhi apne kahlaye nahi jaate
vo dost the humare, pyaar ban gaye,
pyaar se phir dosti par aa gaye
jaane humare beech ye kaisa rishta hai,
bandhan judaye bhi nahi jaate, chudaye bhi nahi jaate

Mushkilein…
Koun Kis Se Qafa Nahi Hota
Koun Kis Se Juda Nahi Hota
Tere Milne Se Mil Gaya Sab Kuch
Warna Kuch Bhi Naa Mila Hota
Humne Samjha Nahi Hai Ghar Ko Ghar
Iss Tarah Ghar Jala Nahi Hota
Tu Ne Samjhi Nahi Meri Qadar
Rah Me Yun Gira Nahi Hota
Tujh Me Ruby Samajhdari Hoti
Yun Mushkiloun Me Ghiri Naa Hoti

Naya Saathi…

Dhoondtaa raha Mein Achchee Shayaree ka
Meinkhaana…..
Aaj Milaa mujhe SHAYRIS ka Khazaaana….
Abhi buraaa Shaayar Hoon… Sher likhtaa hoon
lekin lagtaa hein Geedad..
Aapkey Saath mein aakar Shaayad Sher likhney kaa
Shayar Banoo….!!

Barbaad Kar Ke Mujh Ko…
Barbaad Kar Ke Mujh Ko – Wo Jis Dhang Se Muskuraye,
Unki Woh Ada Bhi Mujhe Ghayal Bana Gayee.
Koi Tohmat Nahin Un Par, Balki Ye Sehra Bhi Unke Sar Hai,
Ke Be-wafai Unki, Muzhe Shayar Bana Gayee.

Saath chal saktay hain paas asakty nahi



Saath chal saktay hain paas asakty nahi…
Saath chal saktay hain paas asakty nahi,
Ek nadi kay do kinaroon ko mila saktay nahi.
Denay walay nay dia sab kuch ajab andaz say,
Samnay duniya pari hai utha saktay nahi.
Us bki bhi majborian hain’mere bhi majborian hain,
Roz miltay hain lakin ghar may bata saktay nahi.
Kis ny kis ka naam eenthon par likha hai khoon say,
Ishtaharon say yeh dewarain chupa saktay nahi.
Admi kia hai guzartay waqt ki tasveer hai,
Janay walon ko sada day kar bula saktay nahi.
Us ki yadon say mehknay lagta hai sara badan,
Pyar ki khushbu ko seenay may chupa saktay nahi.
Pathron kay bartanoon may ansoo’on ko kia rakhain,
Phool ko alfaaz kay gamlon may khila saktay nahi.

Hope u like these…
khuda kisi ko kisi pe fida na kare
agar kare… to kayamat tak juda na kare
Humne to unse pyar chaha tha, who hume gum de gaye
Hum jee lete unki yadon ke sahare.. woh bhoolne ki kasam de gaye.
humne to chalayi thi ret pe ungliyaan
na jaane..kaise unki tasveer ban gayi
Log kehte hain hume aadat hai muskurane ki
Woh kya jane..yeh bhi ek ada hai gum chhupane ki

Nice Collection of Shayaris
Posted by Rahul under Hindi Shayari 
No Comments 
Kaun kehta hai judaai hogi..
Kisi ne afwaah failai hogi..
Thaath se baithenge aapke Dil main..
Itne dino main kuch to jagah banaai hogi ?!
Ek Tanha Raat Mein Apki yad Aayi,
Tanhai Mitane Ko Humne 1 Cigrate Sulgai,
Na Jane Kaise Qayamat Ho Gaye Ke..
Dhooey Ne Bhi Apki Tasvir Banayi !
Kya bindas hava chal raheli hai,
birdy gaana ga raheli hai,
Cow log grass eat rahele hai,
shaane log mail/SMS kar rahele hain..
aur dhakkan log mail/SMS padh rahele hain !
Hindi Shayari – Intezaar
Intezaar
jab bhee chaha humne bhulaana tumko
dil nei har baar dhokha diya humko
gin gin kar sitaron ko humne bitai raatein
phool ki punkhariyon nei yaad deelai baatein
sooraj ki garmi nei jo sataya humko
chand ki thandak mei teri chahat nei pukara humko
koi keh dey jaa kar unsei, bahut karaya usnei intezaar humko
chale hain hum ab ore kafan, karvaayeinge ab intezaar unko…