blog

Friday 5 July 2013

Ye kaisa rishta hai?



Ye kaisa rishta hai?
Bhulaye bhi nahi jaate, gale se lagaye bhi nahi jaate
ajnabi nahi hain, phir bhi apne kahlaye nahi jaate
vo dost the humare, pyaar ban gaye,
pyaar se phir dosti par aa gaye
jaane humare beech ye kaisa rishta hai,
bandhan judaye bhi nahi jaate, chudaye bhi nahi jaate

Mushkilein…
Koun Kis Se Qafa Nahi Hota
Koun Kis Se Juda Nahi Hota
Tere Milne Se Mil Gaya Sab Kuch
Warna Kuch Bhi Naa Mila Hota
Humne Samjha Nahi Hai Ghar Ko Ghar
Iss Tarah Ghar Jala Nahi Hota
Tu Ne Samjhi Nahi Meri Qadar
Rah Me Yun Gira Nahi Hota
Tujh Me Ruby Samajhdari Hoti
Yun Mushkiloun Me Ghiri Naa Hoti

Naya Saathi…

Dhoondtaa raha Mein Achchee Shayaree ka
Meinkhaana…..
Aaj Milaa mujhe SHAYRIS ka Khazaaana….
Abhi buraaa Shaayar Hoon… Sher likhtaa hoon
lekin lagtaa hein Geedad..
Aapkey Saath mein aakar Shaayad Sher likhney kaa
Shayar Banoo….!!

Barbaad Kar Ke Mujh Ko…
Barbaad Kar Ke Mujh Ko – Wo Jis Dhang Se Muskuraye,
Unki Woh Ada Bhi Mujhe Ghayal Bana Gayee.
Koi Tohmat Nahin Un Par, Balki Ye Sehra Bhi Unke Sar Hai,
Ke Be-wafai Unki, Muzhe Shayar Bana Gayee.

No comments:

Post a Comment