blog

Friday 5 July 2013

Saath chal saktay hain paas asakty nahi



Saath chal saktay hain paas asakty nahi…
Saath chal saktay hain paas asakty nahi,
Ek nadi kay do kinaroon ko mila saktay nahi.
Denay walay nay dia sab kuch ajab andaz say,
Samnay duniya pari hai utha saktay nahi.
Us bki bhi majborian hain’mere bhi majborian hain,
Roz miltay hain lakin ghar may bata saktay nahi.
Kis ny kis ka naam eenthon par likha hai khoon say,
Ishtaharon say yeh dewarain chupa saktay nahi.
Admi kia hai guzartay waqt ki tasveer hai,
Janay walon ko sada day kar bula saktay nahi.
Us ki yadon say mehknay lagta hai sara badan,
Pyar ki khushbu ko seenay may chupa saktay nahi.
Pathron kay bartanoon may ansoo’on ko kia rakhain,
Phool ko alfaaz kay gamlon may khila saktay nahi.

Hope u like these…
khuda kisi ko kisi pe fida na kare
agar kare… to kayamat tak juda na kare
Humne to unse pyar chaha tha, who hume gum de gaye
Hum jee lete unki yadon ke sahare.. woh bhoolne ki kasam de gaye.
humne to chalayi thi ret pe ungliyaan
na jaane..kaise unki tasveer ban gayi
Log kehte hain hume aadat hai muskurane ki
Woh kya jane..yeh bhi ek ada hai gum chhupane ki

Nice Collection of Shayaris
Posted by Rahul under Hindi Shayari 
No Comments 
Kaun kehta hai judaai hogi..
Kisi ne afwaah failai hogi..
Thaath se baithenge aapke Dil main..
Itne dino main kuch to jagah banaai hogi ?!
Ek Tanha Raat Mein Apki yad Aayi,
Tanhai Mitane Ko Humne 1 Cigrate Sulgai,
Na Jane Kaise Qayamat Ho Gaye Ke..
Dhooey Ne Bhi Apki Tasvir Banayi !
Kya bindas hava chal raheli hai,
birdy gaana ga raheli hai,
Cow log grass eat rahele hai,
shaane log mail/SMS kar rahele hain..
aur dhakkan log mail/SMS padh rahele hain !
Hindi Shayari – Intezaar
Intezaar
jab bhee chaha humne bhulaana tumko
dil nei har baar dhokha diya humko
gin gin kar sitaron ko humne bitai raatein
phool ki punkhariyon nei yaad deelai baatein
sooraj ki garmi nei jo sataya humko
chand ki thandak mei teri chahat nei pukara humko
koi keh dey jaa kar unsei, bahut karaya usnei intezaar humko
chale hain hum ab ore kafan, karvaayeinge ab intezaar unko…

No comments:

Post a Comment