blog

Showing posts with label Dil Se. Show all posts
Showing posts with label Dil Se. Show all posts

Saturday, 13 July 2013

The best medicine for human is LOVE & CARE



The best medicine for human is LOVE & CARE

The best medicine for human is LOVE & CARE.
Someone asked: What if it doesn’t work?
He smiled and said:
Increase the dose! 

Tuesday, 2 July 2013

Shero-Shayri


Shero-Shayri

Jinki yaad me hum dewane ho gaye,
wo hi hum se begane ho gaye,
shayad unhe talash hai ab naye dost ki,
kyunki unki nazro me hum purane ho gaye…..

Some Cool Shayrees


Some Cool Shayrees………….. Wah !! Wah !!


1
Zamaane ke dar se teri Tasveer toilet mein chhupa rakhi hai !!
Baar baar deedaar ho tera is liye julaab ki goli bhi kha rakhi hai !!!!
2
Macchhar ne mujhe kaata….. Macchhar ko junoon tha….. !
Khujli fir aisi machi….. ki dil besukoon tha….. !!
Humne use pakda….. aur fir chhod diya gaalib….. !!!
kambakht ki ragon mein….. apna hi khoon tha….. !!!!
3
Pyar ki raah mein hum aur tum yun kho jayenge
Gar haath bhi rakha to ehsas na hoga
Humara dil to tumne le liya hai sanam
Tumhara dil bhi tumhare paas na hoga
4
Aur bhi cheezein bahut see lut chuki hain dil ke saath
Ye bataya doston ne ishq furmaney ke baad
Is liye kamre ki ek ek cheez “check” karta hoon main
Ek tere aaney se pehley, ek tere jaaney ke baad
5
Balti mein bhar bhar ke paani tera aks daikhta hoon
Balti hila hila ke tera raqs daikhta hoon
6
Jab kaha tha aao to aate na the
Bin kahe aab bar bar aane lage
Ya kabhi wo berukhi, ya ye karam
saath ab bacchhon ko bhi lane lage
7
Duniya Se Jo Dare, Usye Kayar Kehte Hain !
Duniya Jis se Dare, Usye Shaayar Kehte Hain !!
Biwi Se Jo Dare, Usye Shohar Kehte Hain !!!

Dard Bhari Shayari



Dard Bhari Shayari

Gehri thi raat, lakin hum khoye nahi,
Dard bahoot tha dil mein, lakin hum roye nahi,
Koi nahi hamara jo puche humse,
Jag rahe ho kisi ke liye, ya kisi ke liye soye hi nahi..!!

Heartbroken Shayari in Hindi



Heartbroken Shayari in Hindi
,
Tanhaayi ka lamba safar katt-ta hi nahi
Aapke bina koi accha lagta hi nahi.
Koi nahi jo pooch ley iss dard-e-dil ka haal
Aapke binn ye DIL kahi lagta hi nhi…

Dard Shayari SMS



Dard Shayari SMS

Ruthi hui aankhon mein intezar hota hai,
Na chahte hue bhi pyar hota hai,
Kyun dekhte hain hum wo sapne,
Jinke tutne par bhi unke sach hone ka intezar hota hai?

Hindi Dosti Shayari SMS



Hindi Dosti Shayari SMS

Dosti ka rishta purana nahi hota,
isse bada khajana nahi hota,
dosti to pyar se bhi pavitra hai,
kyuki isme koi pagal ya dewana nahi hota…