blog

Showing posts with label Some Serious Shayari. Show all posts
Showing posts with label Some Serious Shayari. Show all posts

Saturday 13 July 2013

Har doori mitani padhti hai



Har doori mitani padhti hai

Har doori mitani padhti hai,
har baat btani padhti hai,
lagta hai dosto ke pass waqt hi nahi hai,
aaj kal
khud apni yaad dilaani padhti hai.

Friday 5 July 2013

Some Serious Shayari



Some Serious Shayari
Achha hua ki raah mein thokar lagi mujhe
hum gir pade to sara jamana sambhal pada
Mere khuda mujhe thodi si zindagi de de
Udaas mere janaaze se koi jaa raha hai
Kab ki pathar ho chuki hein ye meri aankhein magar
chhooke jab dekha to haath geele ho gaye
Mere marne ke baad mere seene se, dil nikal lena
Kahi woh na jal jaaye, jo mere dil me rehte hai
Jab tak lahoo lahoo the, koi poochhata na tha,
Patthar hue to hum bhi, khudaaon me aa gaye ..
Har Ikraar Mera Tere Inkaar Se Aachha Hoga
Mera Har Din Teri Us Raat Se Aachha Hoga
Na Ho Yakeen To Jhaank Lena Apni Doli Se
Mera Janaaza Teri Baarat Se Aachha Hoga
Unhone hame bhule se yad na kiya
Par hamne unki yaad mein sab kuchh bhula diya
Unhone wada to kiya tha khwab me milne ka
Ye hamari badnasibi ki hame nind hi nahi aai…

Shayari…



Shayari…

Chiraagon ki roshni jab zara hili,
laga tumhari ek aahat si mili,
jaake dekha jab dar pe,
to phir wahi kafir hawa mili..
`
Teri ulfat ko kabhi nakam na hone denge
teri DOSTI ko kabhi badnam na hone dnge
meri zindagi me Suraj nikle na nikle
teri zindagi me kabhi sham hone na denge
`
Wafa Me Ab Ye Hunar Ikhtiar Karna Hai,
Woh Sach KaheNaKahe Aetabar Karna Hai.
Yeh TujhKo Jagte Rehne Ka Shauk KabSe Hua,
Mujhe Tau Khair Tera Intezaar Krna Hai.
`
Baad Marne K Mere Tum Jo Kahani Likhna
Kaise Barbaad Hui Meri Jawani Likhna.
Yeh Bhi Likhna K Mere Hont Hansi Ko Tarse,
Umer Bhar AnkhSe Behta Raha Pani Likhna.
`
Dard se dosti ho gayi yaaron,
Zindagi bedard ho gayi yaaron.
Kya hua jo jal gaya aashiyana hamara,
Door tak roshni to ho gayi yaaron….
`
Dilo ko khridne wale hazar mil jayege,
aap ko daga dene wale bar-bar mil jayege,
milega na aapko hm jesa koi,
milne ko to dost beshumar mil jayege.
`
And this one my favourite:
Manzile bhi
uski thi, Rasta bhi uska tha. Ek main akela tha, Kafila bi uska tha..
Sath-Sath
chalne ki soch
bi uski thi, Fir raasta
badalne ka
faisla bhi uska tha…
Aaj kyo akela
hoon, Dil sawal karta hai, Log to uske the,
Kya KHUDA bhi uska tha….?

Tarasta Hoo…
Tarasti He Meri Aankhe,
Aapke Chahre Par Hasi Dekhne K Liye….
Taraste Mere Honth,
Aapke Labo Ko Chune K Liye….
Tarasti He Meri Suni Bahe,
Aapki Baho K Liye….
Tarasti He Meri Sanse,
Aapki Sanso K Milen Ke Liye….
Taraste He Ye Badal
Hum Dono Ko Bhigone K Liye….
Tarasti He Ye Hawa,
Hamari Ruh Ko Ek Karne K Liye….
Tarasti He Meri Ye Aawaj,
Tera Naam In Vadiyon Me Gujaane K Liye….
Tarasti He Meri Jaan,
Sirf Aap Ko Paane K Liye….

Mujay Chanda Kaho Jaan Kaho…



Mujay Chanda Kaho Jaan Kaho…
Mujay Chanda Kaho Jaan Kaho
Mujay Apnay Dill Ka Mehmaan Kaho
Mujay Dekho Har Lamha Yuhi
Mujay Tum Apni Pehchaan Kaho
Main Poori Karoo Tumhari Har Khawahish
Mujay App Apna Maaan Kaho
Har Haal Mein App Muj Ko Hi Socho
Muj Se Dill Ka Har Armaan Kaho
Har Lamha App Ko Hi Chahoo Main
Mujay Payar Ki App Apni Shaan Kaho
Mere Dill Ki Dharti App Ki Hai
Ussay Zameen Kaho Asman Kaho
Sub Kartay Hain Batain App Ki
Har Azooo Ko Meri Zaban Kaho
App Ki Dunia Mein Khoii Rehti Hun
Mujay Mast Kaho Anjaan Kaho
Rakhoo Door Har Shaher Ko App Se
Mujay Dost Kaho Negebaan Kaho
Bheek Payar Ki Apni De Do
Chahy Fakiir Kaho Sultan Kaho…

Intezaar Mein….
Intezaar karte hain tera, intezaar mein hi zindgi guzar na jaye
bekarar hain tere liye, bekarari mein hi zindgi guzar na jaye…
tujhse milne se pahele, virah ki aag mein jal raha hoon
tujhe pyar karne ko tadapta hoon, tere pyar ki aag mein jal raha hoon,
aayi hai phir se yaad teri, teri bahon ko tarasta hoon
aagosh mein rahe kar tere jaanam, rone ko tarasta hoon…
aansoo chalak chalak kar satate hain raat bhar
moti palak palak mein pirone ko tarasta hoon….
intezaar mein jo maza hai wo milan mein kahan
par milkar jo bichhde to kahan jayenge hum……
milkar juda huye to na soya karenge hum
ek dusre ki yaad mein roya karenge hum……!!

Intezar
Hai maut ka intezar per unpe bhi aitbar hai
dekhen pahale bo aten hai ya phir maut
Marne ke baad bhi meri ankhen khuli rahin
Aadat jo pad gai thi unke intezar ki

Khayalaat…
Raat gujarti rahi, din dhalte rahe
hum jaage ya soye, unke khayalon mei rahe
sochte theh jo na nazar aayenge unko
wo dil se bhula denge humko
kitne maasoom theh khayalaat wo to
samay ke har pehar ne jataya humko
wo kare yaad humhe raat dhalne ke baad
hamaara to savera bhi ho unki yaad ke saath…

Wafa Ka Sila…



 Wafa Ka Sila…


Usko chaha to bahut magar wo mila hi nahi
Lakh koshish ki magar faasla mita hi nahi
Usko zamane ne majboor is qadar kar diya
Ke meri kisi sada pe wo ruka hi nahi
Khuda se jholi phaila ke maanga tha usay
Khuda ne meri kisi dua ko suna hi nahi
Har aik se poocha sabab uske na milne ka
Har aik ne bataya ke wo mere liye bana hi nahi
Main tamaam umar ki koshish ke bawjood nakaam ho gaya
Aur wo usko mil gaya jis ne usay kabhi maanga hi nahi
Itni shiddat se chaha magar tu kisi aur ka ho gaya
Shayad is jahan mai wafa ka koi sila hi nahi….
-

Usske Naseeb Me Likh De..

Mere Wajood Ki Jageer Ussne Mangi Hai
Ajab Khawab Ki Tabeer Ussne Mangi Hai
Usski Qaid Me Rehti Hoon Mein Pehle Bhi
Naa Jaane Phir Kyun Zanjeer Uss Ne Mangi Hai
Guman Hota Hai Woh Bhool Sakta Hai Mujhe
Kyunke Aaj Meri Tasveer Ussne Mangi Hai
Mere Khuda Mujhe Usske Naseeb Me Likh De
Ke Mujh Se Meri Hi Taqdeer Ussne Mangi Hai.


Chalo Yeh Maan Liya Ke Aankh Meri Namm Nahi
Gumaan Naa Kar Ke Mere Dil Me Koi Gham Nahi
Ussi Ko Khouf Hai Ki Manzilein Kathin Hai Bohut
Wafaa Ki Rah Pe Mera Jo Humqadam Bhi Nahi
Tumhe Guroor Hai Apni Sitamgiri Pe Agar
Aaye Dost Hounsla Jeene Ka Mujh Me Bhi Kamm Nahi
Suroor-E-Dil Bhi Wahi Hai Aziz-E-Jaan Bhi Wahi Hai
ke Darr-E-Zeesat Pe Ek Naam Jo Raqm Bhi Nahi
Ilm Jo Haq Ka Uthaya Hua Hai Mein Ne Abhi
Bahaal Saans Hai, Bazoo Mere Qalam Bhi Nahi
Hazar Gham Hain Magar Phir Jo Salamat Hoon
Toh Kis Tarah Se Keh Doun Tera Karam Bhi Nahi
Thanks Best Regards
Mrs Rubina Yasmeen


1) Barson baad aapse baat hui,
Dil phir ek baar kamzor ho gaya,
Acha bhala akele jee raha the hum,
Aaj phir akele pan ka ehsaas dila diya…
2) Tum ruth jao, hum mana lenge
Tum chale jao, hum bula lenge
Tum inkaar karo, hum phir bhi ikraar karenge
Tum keh do ek baar, jaan bhi de denge…
3) Tumse pyaar kyon hai itna,ki
Koi aur nazar hi nahi aata
Chodkar nahi jaana hamein
Yeh dil to waise hi kacha hai…