blog

Friday 5 July 2013

Wafa Ka Sila…



 Wafa Ka Sila…


Usko chaha to bahut magar wo mila hi nahi
Lakh koshish ki magar faasla mita hi nahi
Usko zamane ne majboor is qadar kar diya
Ke meri kisi sada pe wo ruka hi nahi
Khuda se jholi phaila ke maanga tha usay
Khuda ne meri kisi dua ko suna hi nahi
Har aik se poocha sabab uske na milne ka
Har aik ne bataya ke wo mere liye bana hi nahi
Main tamaam umar ki koshish ke bawjood nakaam ho gaya
Aur wo usko mil gaya jis ne usay kabhi maanga hi nahi
Itni shiddat se chaha magar tu kisi aur ka ho gaya
Shayad is jahan mai wafa ka koi sila hi nahi….
-

Usske Naseeb Me Likh De..

Mere Wajood Ki Jageer Ussne Mangi Hai
Ajab Khawab Ki Tabeer Ussne Mangi Hai
Usski Qaid Me Rehti Hoon Mein Pehle Bhi
Naa Jaane Phir Kyun Zanjeer Uss Ne Mangi Hai
Guman Hota Hai Woh Bhool Sakta Hai Mujhe
Kyunke Aaj Meri Tasveer Ussne Mangi Hai
Mere Khuda Mujhe Usske Naseeb Me Likh De
Ke Mujh Se Meri Hi Taqdeer Ussne Mangi Hai.


Chalo Yeh Maan Liya Ke Aankh Meri Namm Nahi
Gumaan Naa Kar Ke Mere Dil Me Koi Gham Nahi
Ussi Ko Khouf Hai Ki Manzilein Kathin Hai Bohut
Wafaa Ki Rah Pe Mera Jo Humqadam Bhi Nahi
Tumhe Guroor Hai Apni Sitamgiri Pe Agar
Aaye Dost Hounsla Jeene Ka Mujh Me Bhi Kamm Nahi
Suroor-E-Dil Bhi Wahi Hai Aziz-E-Jaan Bhi Wahi Hai
ke Darr-E-Zeesat Pe Ek Naam Jo Raqm Bhi Nahi
Ilm Jo Haq Ka Uthaya Hua Hai Mein Ne Abhi
Bahaal Saans Hai, Bazoo Mere Qalam Bhi Nahi
Hazar Gham Hain Magar Phir Jo Salamat Hoon
Toh Kis Tarah Se Keh Doun Tera Karam Bhi Nahi
Thanks Best Regards
Mrs Rubina Yasmeen


1) Barson baad aapse baat hui,
Dil phir ek baar kamzor ho gaya,
Acha bhala akele jee raha the hum,
Aaj phir akele pan ka ehsaas dila diya…
2) Tum ruth jao, hum mana lenge
Tum chale jao, hum bula lenge
Tum inkaar karo, hum phir bhi ikraar karenge
Tum keh do ek baar, jaan bhi de denge…
3) Tumse pyaar kyon hai itna,ki
Koi aur nazar hi nahi aata
Chodkar nahi jaana hamein
Yeh dil to waise hi kacha hai…

No comments:

Post a Comment