blog

Friday 5 July 2013

Jawab…



Jawab…
Kaanto ke Badle Phool Kya doge..?
Aaanshu ke Badle Khushi kya dooge..?
Hum chahte hain aapde umar bhar Dosti..
Hamare iss Sawal la Jawab kya Doge…?
Some emotional shayari for all of you. hope u like it

Mohabbat mein na padna mere dosto, mohabbat mein bas rusvai hai…
pehle to dil aabad rahe ga, aakhir mein tanhai hai…
—–
Apnay honton per sajana chahta hoon,
Aa tujhay main gungunana chahta hoon,
koi aansoo teray daaman per gira kay,
boond ko moti banana chahta hoon,
thak gaya main karte karte yaad tujh ko,
ab tujhe main yaad aana chahta hoon,
aakhri hichkee tere zanane pay aaye,
maut bhi main shairana chahta hoon,
apnay honton per sajana chahta hoon,
aa tujhay main gungunana chahta hooon

My friend…
Pyari si, meri nanhi (friend) pari
Neel-gagan me tairti megh-mrig-shavika
Ya dharaa par utarti koi neel-pari
Kesh jaise Benaras par utarti saanjh
Aankhe jaise jheel me tairti deep-pankti
Maadak haala jaise laal raseele adhar
Madhu-smit adharo se jhankti dhawal dant-pankti
Pratimaan saundarya ke sab ho gaye purane
Kahan khoju misaal tumhare is deept roop kee
Adwiteey ho tum, tumhara rang, tumhara roop
Tum samaan hi ho tum, tumsa koi nahi.

No comments:

Post a Comment