blog

Friday 5 July 2013

Aadaab dosto…



Aadaab dosto…
Phir ek baar haazir hua hu is mehfil me ek naye sher ke
saath. Is sher me jinka jikr hai wo “Sona” hamara pahala aur akhiri
pyar, hamari jindagi hai. Ye sher humne us waqt likha tha jab hamari
bas kuchh hi mulaqaate hui thi. Hume shayari ke “grammer” ka koi
knowledge nahi hai. Humne to bas jo dil me aaya likh diya hai.
Tasweer Na Sahi Tasawwoor Hi Sahi
Kahi To Mere Paas Hai Tu “Sona”
Khushboo Ki Tarah Meri Saanso Me Hai Tu
Mere Aanewale Kal Ka Ehsaas Hai Tu “Sona”

Tera sms jab mobile pe aata nahi tha..
With due respect to Jagjit Singh saheb, who has sung this original
ghazal and with due respect to the Shayar who penned it.
Tera sms jab mobile pe aata nahi tha,
Mera mobile suna tha par itna nahi tha.
Email bhej kar hi main karta tha baatein,
Mobile pe incoming outgoing free nahi tha.
Mobile ne mujhe disconnected hi rakha
Jab yahoo pe tha disconnected nahi tha.
Sms send receive karne ke khel main
Mobile ka bill high hoga yeh socha nahi tha.
Suna hai band kar diya usne mobile apna,
uske mobile pe koi call karta nahi tha.

ek phool ki kahani…
umad ghumad kar badal chaaye
chanchal hawaon nay daud lagaii
pagal mera man mayura
hawa usko dekh pakad na paayi
mahak uth ti hai khayalon mein
meray mann aangan ki phoolwaari
khili hain anganeet champa chameli
gaalon nay gulabon ki rungat churaii
udtay gesu badal say hawa mein
badalon nay rimjhim ki ladi barsaii
bheega anchal dharti ka barkha mein
kaliyaan phool ban kar muskaii
aisay mein …
jhoom uthi ek kali yovan ka nikhaar liye
garm hawaon nay chooma usko
paagalpan bhara pyaar liye
jhuki tahni magar bikhari na kali
chaaya tha ek badal preet ki bochaar liye
rimjhim giri budain pyaar ki
khilnay lagi kali rangon ki bahar liye
khushboo say mahak uthi phoolwari mann ki
badal ki chaah ka uphaar liye
kaisay batalaaye kali badal ko
anuraag bikhra rahi woh badal kay liye
khili har pankhudi kali ki
preet ki bahaar liye
badal bhi jhuma dekh kar kali ko
phool ban gayi kali badal ka pyar liye…

No comments:

Post a Comment